ek bar kaho tum meri ho

hum ghum chuke basti ban mein
ek aas ki phans liye man mein
koi sajan ho koi pyara ho
koi dipak ho, koi tara ho
jab jiwan raat andheri ho
ek bar kaho tum meri ho
jab sawan baadal chhae hon
jab phagun phul khilae hon
jab chanda rup lutata ho
jab suraj dhup nahata ho
ya sham ne basti gheri ho
ek bar kaho tum meri ho
han dil ka daman phaila hai
kyun gori ka dil maila hai
hum kab tak pit ke dhoke mein
tum kab tak dur jharoke mein
kab did se dil ko seri ho
ek bar kaho tum meri ho
kya jhagda sud khasare ka
ye kaj nahin banjare ka
sab sona rupa le jae
sab duniya, duniya le jae
tum ek mujhe bahuteri ho
ek bar kaho tum meri ho

aaKHiri din ki talash

khuda ne quran mein kaha hai
ki logo main ne
tumhaari khatir
falak banaya
falak ko taron se
chand suraj se jagmagaya
ki logo main ne
tumhaari khatir
zamin banai
zamin ke sine pe
nadiyon ki lakiren khinchin
samundaron ko
zamin ki aaghosh mein bithaya
pahad rakkhe
darakht ugae
darakht pe
phul phal lagae
ki logo main ne
tumhaari khatir
ye din banaya
ki din mein kuchh kaam kar sako tum
ki logo main ne
tumhaari khatir
ye shab banai
ki shab mein aaram kar sako tum
ki logo main ne
tumhaari khatir
ye sab banaya
magar na bhulo
ki ek din main
ye sari chizen samet lunga
khuda ne jo kuchh kaha hai
sach hai
magar na jaane
wo din kahan hai
wo aakhiri din
ki jab khuda ye tamam chizen samet lega
mujhe usi din ki justuju hai
ki ab ye chizen
bahut purani
bahut hi farsuda ho chuki hain

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close