nisar main teri galiyon ke ai watan ki jahan chali hai rasm ki koi na sar utha ke chale jo koi chahne wala tawaf ko nikle nazar chura ke chale jism o jaan bacha ke chale hai ahl-e-dil ke liye ab ye nazm-e-bast-o-kushad ki sang-o-khisht muqayyad hain aur sag aazad bahut hai zulm ke dast-e-bahana-ju ke liye jo chand ahl-e-junun tere nam-lewa hain bane hain ahl-e-hawas muddai bhi munsif bhi kise wakil karen kis se munsifi chahen magar guzarne walon ke din guzarte hain tere firaq mein yun subh o sham karte hain bujha jo rauzan-e-zindan to dil ye samjha hai ki teri mang sitaron se bhar gai hogi chamak uthe hain salasil to hum ne jaana hai ki ab sahar tere rukh par bikhar gai hogi gharaz tasawwur-e-sham-o-sahar mein jite hain giraft-e-saya-e-diwar-o-dar mein jite hain yunhi hamesha ulajhti rahi hai zulm se khalq na un ki rasm nai hai na apni rit nai yunhi hamesha khilae hain hum ne aag mein phul na un ki haar nai hai na apni jit nai isi sabab se falak ka gila nahin karte tere firaq mein hum dil bura nahin karte gar aaj tujh se juda hain to kal baham honge ye raat bhar ki judai to koi baat nahin gar aaj auj pe hai tala-e-raqib to kya ye chaar din ki khudai to koi baat nahin jo tujh se ahd-e-wafa ustuwar rakhte hain ilaj-e-gardish-e-lail-o-nahaar rakhte hain