bol

bol ki lab aazad hain tere
bol zaban ab tak teri hai
tera sutwan jism hai tera
bol ki jaan ab tak teri hai
dekh ki aahan-gar ki dukan mein
tund hain shoale surkh hai aahan
khulne lage quflon ke dahane
phaila har ek zanjir ka daman
bol ye thoda waqt bahut hai
jism o zaban ki maut se pahle
bol ki sach zinda hai ab tak
bol jo kuchh kahna hai kah le
speak
speak, your lips are free,
speak, your tongue is still yours,
your slim body is yours alone,
speak, this life is yours, still yours.

nau-jawan se

jalal-e-atish-o-barq-o-sahab paida kar
ajal bhi kanp uthe wo shabab paida kar
tere khiram mein hai zalzalon ka raaz nihan
har ek gam par ek inqalab paida kar
sada-e-tisha-e-mazdur hai tera naghma
tu sang-o-khisht se chang-o-rubab paida kar
bahut latif hai ai dost tegh ka bosa
yahi hai jaan-e-jahan is mein aab paida kar
tere qadam pe nazar aae mahfil-e-anjum
wo bankpan wo achhuta shabab paida kar
tera shabab amanat hai sari duniya ki
tu khar-zar-e-jahan mein gulab paida kar
sukun-e-khab hai be-dast-o-pa zaifi ka
tu iztirab hai khud iztirab paida kar
na dekh zohd ki tu ismat-e-gunah-alud
gunah mein fitrat-e-ismat-maab paida kar
tere jilau mein nai jannaten nae dozakh
nai jazaen anokhe azab paida kar
sharab khinchi hai sab ne gharib ke khun se
tu ab amir ke khun se sharab paida kar
gira de qasr-e-tamaddun ki ek fareb hai ye
utha de rasm-e-mohabbat azab paida kar
jo ho sake hamein pamal kar ke aage badh
jo ho sake to hamara jawab paida kar
bahe zamin pe jo mera lahu to gham mat kar
isi zamin se mahakte gulab paida kar
tu inqalab ki aamad ka intizar na kar
jo ho sake to abhi inqalab paida kar

muhasara

mere ghanim ne mujh ko payam bheja hai
ki halqa-zan hain mere gird lashkari us ke
fasil-e-shahr ke har burj har manare par
kaman-ba-dast sitada hain askari us ke
wo barq lahar bujha di gai hai jis ki tapish
wajud-e-khak mein aatish-fishan jagati thi
bichha diya gaya barud us ke pani mein
wo ju-e-ab jo meri gali ko aati thi
sabhi durida-dahan ab badan-darida hue
supurd-e-dar-o-rasan sare sar-kashida hue
tamam sufi o salik sabhi shuyukh o imam
umid-e-lutf pe aiwan-e-kaj-kulah mein hain
moazzazin-e-adalat bhi half uthane ko
misal-e-sail-e-mubarram nashista rah mein hain
tum ahl-e-harf ki pindar ke sana-gar the
wo aasman-e-hunar ke nujum samne hain
bas ek musahib-e-darbar ke ishaare par
gada-garan-e-sukhan ke hujum samne hain
qalandaran-e-wafa ki asas to dekho
tumhaare sath hai kaun aas-pas to dekho
so shart ye hai jo jaan ki aman chahte ho
to apne lauh-o-qalam qatl-gah mein rakh do
wagarna ab ke nishana kaman-daron ka
bas ek tum ho so ghairat ko rah mein rakh do
ye shart-nama jo dekha to elchi se kaha
use khabar nahin tarikh kya sikhati hai
ki raat jab kisi khurshid ko shahid kare
to subh ek naya suraj tarash lati hai
so ye jawab hai mera mere adu ke liye
ki mujh ko hirs-e-karam hai na khauf-e-khamyaza
use hai satwat-e-shamshir par ghamand bahut
use shikoh-e-qalam ka nahin hai andaza
mera qalam nahin kirdar us muhafiz ka
jo apne shahr ko mahsur kar ke naz kare
mera qalam nahin kasa kisi subuk-sar ka
jo ghasibon ko qasidon se sarfaraaz kare
mera qalam nahin auzar us naqab-zan ka
jo apne ghar ki hi chhat mein shigaf dalta hai
mera qalam nahin us duzd-e-nim-shab ka rafiq
jo be-charagh gharon par kamand uchhaalta hai
mera qalam nahin tasbih us maballigh ki
jo bandagi ka bhi har dam hisab rakhta hai
mera qalam nahin mizan aise aadil ki
jo apne chehre pe dohra naqab rakhta hai
mera qalam to amanat hai mere logon ki
mera qalam to adalat mere zamir ki hai
isi liye to jo likkha tapak-e-jaan se likha
jabhi to loch kaman ka zaban tir ki hai
main kat girun ki salamat rahun yaqin hai mujhe
ki ye hisar-e-sitam koi to giraega
tamam umr ki iza-nasibiyon ki qasam
mere qalam ka safar raegan na jaega
sarisht-e-ishq ne uftadgi nahin pai
tu qadd-e-sarw na bini o saya-paimai

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close