uth meri jaan mere sath hi chalna hai tujhe qalb-e-mahaul mein larzan sharar-e-jang hain aaj hausle waqt ke aur zist ke yak-rang hain aaj aabginon mein tapan walwala-e-sang hain aaj husn aur ishq ham-awaz o ham-ahang hain aaj jis mein jalta hun usi aag mein jalna hai tujhe uth meri jaan mere sath hi chalna hai tujhe tere qadmon mein hai firdaus-e-tamaddun ki bahaar teri nazron pe hai tahzib o taraqqi ka madar teri aaghosh hai gahwara-e-nafs-o-kirdar ta-ba-kai gird tere wahm o tayyun ka hisar kaund kar majlis-e-khalwat se nikalna hai tujhe uth meri jaan mere sath hi chalna hai tujhe tu ki be-jaan khilaunon se bahal jati hai tapti sanson ki hararat se pighal jati hai panw jis rah mein rakhti hai phisal jati hai ban ke simab har ek zarf mein dhal jati hai zist ke aahani sanche mein bhi dhalna hai tujhe uth meri jaan mere sath hi chalna hai tujhe zindagi jehd mein hai sabr ke qabu mein nahin nabz-e-hasti ka lahu kanpte aansu mein nahin udne khulne mein hai nikhat kham-e-gesu mein nahin jannat ek aur hai jo mard ke pahlu mein nahin us ki aazad rawish par bhi machalna hai tujhe uth meri jaan mere sath hi chalna hai tujhe goshe goshe mein sulagti hai chita tere liye farz ka bhes badalti hai qaza tere liye qahr hai teri har ek narm ada tere liye zahr hi zahr hai duniya ki hawa tere liye rut badal dal agar phulna phalna hai tujhe uth meri jaan mere sath hi chalna hai tujhe qadr ab tak teri tarikh ne jaani hi nahin tujh mein shoale bhi hain bas ashk-fishani hi nahin tu haqiqat bhi hai dilchasp kahani hi nahin teri hasti bhi hai ek chiz jawani hi nahin apni tarikh ka unwan badalna hai tujhe uth meri jaan mere sath hi chalna hai tujhe tod kar rasm ka but band-e-qadamat se nikal zof-e-ishrat se nikal wahm-e-nazakat se nikal nafs ke khinche hue halqa-e-azmat se nikal qaid ban jae mohabbat to mohabbat se nikal rah ka khar hi kya gul bhi kuchalna hai tujhe uth meri jaan mere sath hi chalna hai tujhe tod ye azm-shikan daghdagha-e-pand bhi tod teri khatir hai jo zanjir wo saugand bhi tod tauq ye bhi hai zamurrad ka gulu-band bhi tod tod paimana-e-mardan-e-khirad-mand bhi tod ban ke tufan chhalakna hai ubalna hai tujhe uth meri jaan mere sath hi chalna hai tujhe tu falatun o arastu hai tu zahra parwin tere qabze mein hai gardun teri thokar mein zamin han utha jald utha pa-e-muqaddar se jabin main bhi rukne ka nahin waqt bhi rukne ka nahin ladkhadaegi kahan tak ki sambhalna hai tujhe uth meri jaan mere sath hi chalna hai tujhe