mere ghanim ne mujh ko payam bheja hai ki halqa-zan hain mere gird lashkari us ke fasil-e-shahr ke har burj har manare par kaman-ba-dast sitada hain askari us ke wo barq lahar bujha di gai hai jis ki tapish wajud-e-khak mein aatish-fishan jagati thi bichha diya gaya barud us ke pani mein wo ju-e-ab jo meri gali ko aati thi sabhi durida-dahan ab badan-darida hue supurd-e-dar-o-rasan sare sar-kashida hue tamam sufi o salik sabhi shuyukh o imam umid-e-lutf pe aiwan-e-kaj-kulah mein hain moazzazin-e-adalat bhi half uthane ko misal-e-sail-e-mubarram nashista rah mein hain tum ahl-e-harf ki pindar ke sana-gar the wo aasman-e-hunar ke nujum samne hain bas ek musahib-e-darbar ke ishaare par gada-garan-e-sukhan ke hujum samne hain qalandaran-e-wafa ki asas to dekho tumhaare sath hai kaun aas-pas to dekho so shart ye hai jo jaan ki aman chahte ho to apne lauh-o-qalam qatl-gah mein rakh do wagarna ab ke nishana kaman-daron ka bas ek tum ho so ghairat ko rah mein rakh do ye shart-nama jo dekha to elchi se kaha use khabar nahin tarikh kya sikhati hai ki raat jab kisi khurshid ko shahid kare to subh ek naya suraj tarash lati hai so ye jawab hai mera mere adu ke liye ki mujh ko hirs-e-karam hai na khauf-e-khamyaza use hai satwat-e-shamshir par ghamand bahut use shikoh-e-qalam ka nahin hai andaza mera qalam nahin kirdar us muhafiz ka jo apne shahr ko mahsur kar ke naz kare mera qalam nahin kasa kisi subuk-sar ka jo ghasibon ko qasidon se sarfaraaz kare mera qalam nahin auzar us naqab-zan ka jo apne ghar ki hi chhat mein shigaf dalta hai mera qalam nahin us duzd-e-nim-shab ka rafiq jo be-charagh gharon par kamand uchhaalta hai mera qalam nahin tasbih us maballigh ki jo bandagi ka bhi har dam hisab rakhta hai mera qalam nahin mizan aise aadil ki jo apne chehre pe dohra naqab rakhta hai mera qalam to amanat hai mere logon ki mera qalam to adalat mere zamir ki hai isi liye to jo likkha tapak-e-jaan se likha jabhi to loch kaman ka zaban tir ki hai main kat girun ki salamat rahun yaqin hai mujhe ki ye hisar-e-sitam koi to giraega tamam umr ki iza-nasibiyon ki qasam mere qalam ka safar raegan na jaega sarisht-e-ishq ne uftadgi nahin pai tu qadd-e-sarw na bini o saya-paimai