zindagi dard ki kahani hai chashm-e-anjum mein bhi to pani hai be-niyazana sun liya gham-e-dil mehrbani hai mehrbani hai wo bhala meri baat kya mane us ne apni bhi baat mani hai shola-e-dil hai ye ki shoala-saz ya tera shola-e-jawani hai wo kabhi rang wo kabhi khushbu gah gul gah raat-rani hai ban ke masum sab ko tad gai aankh us ki badi siyani hai aap-biti kaho ki jag-biti har kahani meri kahani hai donon aalam hain jis ke zer-e-nagin dil usi gham ki rajdhani hai hum to khush hain teri jafa par bhi be-sabab teri sargirani hai sar-ba-sar ye faraaz-e-mahr-o-qamar teri uthti hui jawani hai aaj bhi sun rahe hain qissa-e-ishq go kahani bahut purani hai zabt kije to dil hai angara aur agar roiye to pani hai hai thikana ye dar hi us ka bhi dil bhi tera hi aastani hai un se aise mein jo na ho jae nau-jawani hai nau-jawani hai dil mera aur ye gham-e-duniya kya tere gham ki pasbani hai gardish-e-chashm-e-saqi-e-dauran daur-e-aflak ki bhi pani hai ai lab-e-naz kya hain wo asrar khamushi jin ki tarjumani hai mai-kadon ke bhi hosh udne lage kya teri aankh ki jawani hai khud-kushi par hai aaj aamada are duniya badi diwani hai koi izhaar-e-na-khushi bhi nahin bad-gumani si bad-gumani hai mujh se kahta tha kal farishta-e-ishq zindagi hijr ki kahani hai bahr-e-hasti bhi jis mein kho jae bund mein bhi wo be-karani hai mil gae khak mein tere ushshaq ye bhi ek amr-e-asmani hai zindagi intizar hai tera hum ne ek baat aaj jaani hai kyun na ho gham se hi qimash us ka husn taswir-e-shadmani hai suni duniya mein ab to main hun aur matam-e-ishq-e-an-jahani hai kuchh na puchho 'firaq' ahd-e-shabab raat hai nind hai kahani hai