naya ek rishta paida kyun karen hum

naya ek rishta paida kyun karen hum
bichhadna hai to jhagda kyun karen hum
khamoshi se ada ho rasm-e-duri
koi hangama barpa kyun karen hum
ye kafi hai ki hum dushman nahin hain
wafa-dari ka dawa kyun karen hum
wafa ikhlas qurbani mohabbat
ab in lafzon ka pichha kyun karen hum
hamari hi tamanna kyun karo tum
tumhaari hi tamanna kyun karen hum
kiya tha ahd jab lamhon mein hum ne
to sari umr ifa kyun karen hum
nahin duniya ko jab parwa hamari
to phir duniya ki parwa kyun karen hum
ye basti hai musalmanon ki basti
yahan kar-e-masiha kyun karen hum

jhuki jhuki si nazar be-qarar hai ki nahin

jhuki jhuki si nazar be-qarar hai ki nahin
daba daba sa sahi dil mein pyar hai ki nahin
tu apne dil ki jawan dhadkanon ko gin ke bata
meri tarah tera dil be-qarar hai ki nahin
wo pal ki jis mein mohabbat jawan hoti hai
us ek pal ka tujhe intizar hai ki nahin
teri umid pe thukra raha hun duniya ko
tujhe bhi apne pe ye e'tibar hai ki nahin

hain rawan us rah par jis ki koi manzil na ho

hain rawan us rah par jis ki koi manzil na ho
justuju karte hain us ki jo hamein hasil na ho
dasht-e-najd-e-yas mein diwangi ho har taraf
har taraf mahmil ka shak ho par kahin mahmil na ho
wahm ye tujh ko ajab hai ai jamal-e-kam-numa
jaise sab kuchh ho magar tu did ke qabil na ho
wo khada hai ek bab-e-ilm ki dahliz par
main ye kahta hun use is khauf mein dakhil na ho
chahta hun main 'munir' is umr ke anjam par
ek aisi zindagi jo is tarah mushkil na ho

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close