shauq kahta hai pahunch jaun main ab kabe mein jaldShayari By 26 Jan 2021 12:30:00 PMShershauq kahta hai pahunch jaun main ab kabe mein jald rah mein but-khana padta hai ilahi kya karun Continue Reading... Share on:
na tera qurb na baada hai kya kiya jaeShayari By 26 Jan 2021 12:30:00 PMGhazalna tera qurb na baada hai kya kiya jae phir aaj dukh bhi ziyaada hai kya kiya jae hamein bhi arz-e-tamanna ka dhab nahin aata mizaj-e-yar bhi sada hai kya kiya jae [...] Continue Reading... Share on:
sawal karti kai aankhen muntazir hain yahanShayari By 26 Jan 2021 12:30:00 PMShersawal karti kai aankhen muntazir hain yahan jawab aaj bhi hum soch kar nahin aae Continue Reading... Share on:
jab bhi khilta hai sar-e-shaKH koi taza gulabAdmin01 Jan 2017 12:30:00 PMQitajab bhi khilta hai sar-e-shakh koi taza gulab tum use tod ke jude mein saja leti ho jaane kya baat hai tum apne siwa duniya mein har hasin chiz ko jhunjla ke mita deti ho Continue Reading... Share on:
kashmakashAdmin01 Jan 2017 12:30:00 PMNazmsochte sochte phir mujh ko khayal aata hai wo mere ranj-o-masaib ka mudawa to na thi rang-afshan thi mere dil ki khalaon mein magar ek aurat thi ilaj-e-gham duniya to na thi mere idrak ke nasur to riste rahte meri ho kar bhi wo mere liye kya kar leti hasrat-o-yas ke gambhir andhere mein bhala ek nazuk si kiran sath kahan tak deti us ko rahna tha zar-o-sim ke aiwanon mein rah bhi jati wo mere sath to rahti kab tak ek maghrur sahukar ki pyari beti bhuk aur pyas ki taklif ko sahti kab tak ek shaer ki tamannaon ko dhoka de kar us ne todi hai agar pyar bhare git ki lai is pe afsos hai kyun is pe tajjub kaisa ye mohabbat bhi to ehsas ka ek dhoka hai phir bhi anjaane mein jab shahr ki rahon mein kahin dekh leta hun main doshiza jamalon ke hujum ruh par phailne lagta hai udasi ka ghubar zehn mein rengne lagte hain khayalon ke hujum sochte sochte phir mujh ko khayal aata hai wo mere ranj-o-masaib ka mudawa to na thi rang-afshan thi mere dil ki khalaon mein magar ek aurat thi ilaj-e-gham-e-duniya to na thi Continue Reading... Share on:
mujhse pahli si mohabbat meri mahbub na mangAdmin01 Jan 2017 12:30:00 PMNazmmujh se pahli si mohabbat meri mahbub na mang main ne samjha tha ki tu hai to darakhshan hai hayat tera gham hai to gham-e-dahr ka jhagda kya hai teri surat se hai aalam mein bahaaron ko sabaat teri aankhon ke siwa duniya mein rakkha kya hai tu jo mil jae to taqdir nigun ho jae yun na tha main ne faqat chaha tha yun ho jae aur bhi dukh hain zamane mein mohabbat ke siwa rahaten aur bhi hain wasl ki rahat ke siwa an-ginat sadiyon ke tarik bahimana tilism resham o atlas o kamkhab mein bunwae hue ja-ba-ja bikte hue kucha-o-bazar mein jism khak mein luthde hue khun mein nahlae hue jism nikle hue amraaz ke tannuron se pip bahti hui galte hue nasuron se laut jati hai udhar ko bhi nazar kya kije ab bhi dilkash hai tera husn magar kya kije aur bhi dukh hain zamane mein mohabbat ke siwa rahaten aur bhi hain wasl ki rahat ke siwa mujh se pahli si mohabbat meri mahbub na mang Continue Reading... Share on: