duniya meri bala jaane mahngi hai ya sasti hai maut mile to muft na lun hasti ki kya hasti hai aabaadi bhi dekhi hai virane bhi dekhe hain jo ujde aur phir na base dil wo nirali basti hai khud jo na hone ka ho adam kya use hona kahte hain nist na ho to hast nahin ye hasti kya hasti hai ijz-e-gunah ke dam tak hain ismat-e-kaamil ke jalwe pasti hai to bulandi hai raaz-e-bulandi pasti hai jaan si shai bik jati hai ek nazar ke badle mein aage marzi gahak ki in damon to sasti hai wahshat-e-dil se phirna hai apne khuda se phir jaana diwane ye hosh nahin ye to hosh-parasti hai jag suna hai tere baghair aankhon ka kya haal hua jab bhi duniya basti thi ab bhi duniya basti hai aansu the so khushk hue ji hai ki umda aata hai dil pe ghata si chhai hai khulti hai na barasti hai dil ka ujadna sahl sahi basna sahl nahin zalim basti basna khel nahin baste baste basti hai 'fani' jis mein aansu kya dil ke lahu ka kal na tha hae wo aankh ab pani ki do bundon ko tarasti hai