december ki ghani raaton mein jab baadal barasta hai larazti khamushi jab baal khole corridoron mein sisakti hai to aatish-dan ke aage kahin se wo dabe-panw mere pahlu mein aati hai aur apne marmarin hathon se mere baal suljhate hue sargoshiyon mein dard ke qisse sunati hai july ki do-pahren mumtiyon se jab utar kar aanganon mein phail jati hain aur ek aawara sannata chhaton par bhaari qadmon se badi aahistagi ke sath chalta hai to wo chupke se mere pas aati hai aur apne dhime lahje mein wo sari dastanen kah sunati hai jinhen sun kar main dhimi aanch par pahron sulagta hun kisi girje ke viran lawn mein jab january apne sunahri gesuon ko khol kar koi purana git gati hai to wo ek an-chhui nan ki tarah patthar ke benchon par mere kandhe pe sar rakkhe mere chehre pe apni ungliyon se sog likhti hai kisi wadi ke tanha dak-bangle mein kabhi jab sham roti hai siyah kafi ke pyalon se lapakti bhap mein baaton ke biscuit phul jate hain to wo bhi jangali belon se uthti khushbuon se jism pati hai mere nazdik aati hai meri sanson ki pagdandi pe dhire dhire chalti hai mere andar utarti hai