bahut dinon ki baat hai

bahut dinon ki baat hai
faza ko yaad bhi nahin
ye baat aaj ki nahin
bahut dinon ki baat hai
shabab par bahaar thi
faza bhi khush-gawar thi
na jaane kyun machal pada
main apne ghar se chal pada
kisi ne mujh ko rok kar
teri ada se tok kar
kaha tha laut aaiye
meri qism na jaiye
na jaiye na jaiye
mujhe magar khabar na thi
mahaul par nazar na thi
na jaane kyun machal pada
main apne ghar se chal pada
main chal pada main chal pada
main shahar se phir aa gaya
khayal tha ki pa gaya
use jo mujh se dur thi
magar meri zarur thi
aur ek hasin sham ko
main chal pada salam ko
gali ka rang dekh kar
nai tarang dekh kar
mujhe badi khushi hui
main kuchh isi khushi mein tha
kisi ne jhank kar kaha
parae ghar se jaiye
meri qism na aaiye
na aaiye na aaiye
wahi hasin sham hai
bahaar jis ka nam hai
chala hun ghar ko chhod kar
na jaane jaunga kidhar
koi nahin jo tok kar
koi nahin jo rok kar
kahe ki laut aaiye
meri qism na jaiye
bahut dinon ki baat hai
faza ko yaad bhi nahin
ye baat aaj ki nahin
bahut dinon ki baat hai

andesha

baat niklegi to phir dur talak jaegi
log be-wajh udasi ka sabab puchhenge
ye bhi puchhenge ki tum itni pareshan kyun ho
jagmagate hue lamhon se gurezan kyun ho
ungliyan utthengi sukhe hue baalon ki taraf
ek nazar dekhenge guzre hue salon ki taraf
chudiyon par bhi kai tanz kiye jaenge
kanpte hathon pe bhi fiqre kase jaenge
phir kahenge ki hansi mein bhi khafa hoti hain
ab to 'ruhi' ki namazen bhi qaza hoti hain
log zalim hain har ek baat ka tana denge
baaton baaton mein mera zikr bhi le aaenge
in ki baaton ka zara sa bhi asar mat lena
warna chehre ke tassur se samajh jaenge
chahe kuchh bhi ho sawalat na karna un se
mere bare mein koi baat na karna un se
baat niklegi to phir dur talak jaegi

aaj jaane ki zid na karo

aaj jaane ki zid na karo
yun hi pahlu mein baithe raho
aaj jaane ki zid na karo
hae mar jaenge, hum to lut jaenge
aisi baaten kiya na karo
aaj jaane ki zid na karo
tum hi socho zara kyun na roken tumhein
jaan jati hai jab uth ke jate ho tum
tum ko apni qasam jaan-e-jaan
baat itni meri man lo
aaj jaane ki zid na karo
yun hi pahlu mein baithe raho
aaj jaane ki zid na karo
waqt ki qaid mein zindagi hai magar
chand ghadiyan yahi hain jo aazad hain
in ko kho kar meri jaan-e-jaan
umr-bhar na taraste raho
aaj jaane ki zid na karo
kitna masum rangin hai ye saman
husn aur ishq ki aaj mearaj hai
kal ki kis ko khabar jaan-e-jaan
rok lo aaj ki raat ko
aaj jaane ki zid na karo
yunhi pahlu mein baithe raho
aaj jaane ki zid na karo

aaghaz

kin khayalat mein yun rahti ho khoi khoi
chae ka pani patili mein ubal jata hai
rakh ko hath lagati ho to jal jata hai
ek bhi kaam saliqe se nahin ho pata
ek bhi baat mohabbat se nahin kahti ho
apni har ek saheli se khafa rahti ho
raat bhar nawilen padhti ho na jaane kis ki
ek jampar nahin si pai ho kitne din se
bhai ka hath bhi ghusse se jhatak deti ho
mez par yun hi kitabon ko patak deti ho
kin khayalat mein yun rahti ho khoi khoi

ramz

tum jab aaogi to khoya hua paogi mujhe
meri tanhai mein khwabon ke siwa kuchh bhi nahin
mere kamre ko sajaane ki tamanna hai tumhein
mere kamre mein kitabon ke siwa kuchh bhi nahin
in kitabon ne bada zulm kiya hai mujh par
in mein ek ramz hai jis ramz ka mara hua zehn
muzhda-e-ishrat-e-anjam nahin pa sakta
zindagi mein kabhi aaram nahin pa sakta

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close