gahe gahe bas ab yahi ho kya

gahe gahe bas ab yahi ho kya
tum se mil kar bahut khushi ho kya
mil rahi ho bade tapak ke sath
mujh ko yaksar bhula chuki ho kya
yaad hain ab bhi apne khwab tumhein
mujh se mil kar udas bhi ho kya
bas mujhe yunhi ek khayal aaya
sochti ho to sochti ho kya
ab meri koi zindagi hi nahin
ab bhi tum meri zindagi ho kya
kya kaha ishq jawedani hai!
aakhiri bar mil rahi ho kya
han faza yan ki soi soi si hai
to bahut tez raushni ho kya
mere sab tanz be-asar hi rahe
tum bahut dur ja chuki ho kya
dil mein ab soz-e-intizar nahin
sham-e-ummid bujh gai ho kya
is samundar pe tishna-kaam hun main
ban tum ab bhi bah rahi ho kya

fasle aise bhi honge ye kabhi socha na tha

fasle aise bhi honge ye kabhi socha na tha
samne baitha tha mere aur wo mera na tha
wo ki khushbu ki tarah phaila tha mere chaar-su
main use mahsus kar sakta tha chhu sakta na tha
raat bhar pichhli si aahat kan mein aati rahi
jhank kar dekha gali mein koi bhi aaya na tha
main teri surat liye sare zamane mein phira
sari duniya mein magar koi tere jaisa na tha
aaj milne ki khushi mein sirf main jaga nahin
teri aankhon se bhi lagta hai ki tu soya na tha
ye sabhi viraniyan us ke juda hone se thin
aankh dhundlai hui thi shahr dhundlaya na tha
sainkadon tufan lafzon mein dabe the zer-e-lab
ek patthar tha khamoshi ka ki jo hatta na tha
yaad kar ke aur bhi taklif hoti thi 'adim'
bhul jaane ke siwa ab koi bhi chaara na tha
maslahat ne ajnabi hum ko banaya tha 'adim'
warna kab ek dusre ko hum ne pahchana na tha

chupke chupke raat din aansu bahana yaad hai

chupke chupke raat din aansu bahana yaad hai
hum ko ab tak aashiqi ka wo zamana yaad hai
ba-hazaran iztirab o sad-hazaran ishtiyaq
tujh se wo pahle-pahal dil ka lagana yaad hai
bar bar uthna usi jaanib nigah-e-shauq ka
aur tera ghurfe se wo aankhen ladana yaad hai
tujh se kuchh milte hi wo bebak ho jaana mera
aur tera danton mein wo ungli dabana yaad hai
khinch lena wo mera parde ka kona dafatan
aur dupatte se tera wo munh chhupana yaad hai
jaan kar sona tujhe wo qasd-e-pa-bosi mera
aur tera thukra ke sar wo muskurana yaad hai
tujh ko jab tanha kabhi pana to az-rah-e-lihaz
haal-e-dil baaton hi baaton mein jatana yaad hai
jab siwa mere tumhaara koi diwana na tha
sach kaho kuchh tum ko bhi wo kar-khana yaad hai
ghair ki nazron se bach kar sab ki marzi ke khilaf
wo tera chori-chhupe raaton ko aana yaad hai
aa gaya gar wasl ki shab bhi kahin zikr-e-firaq
wo tera ro ro ke mujh ko bhi rulana yaad hai
dopahar ki dhup mein mere bulane ke liye
wo tera kothe pe nange panw aana yaad hai
aaj tak nazron mein hai wo sohbat-e-raaz-o-niyaz
apna jaana yaad hai tera bulana yaad hai
mithi mithi chhed kar baaten nirali pyar ki
zikr dushman ka wo baaton mein udana yaad hai
dekhna mujh ko jo bargashta to sau sau naz se
jab mana lena to phir khud ruth jaana yaad hai
chori chori hum se tum aa kar mile the jis jagah
muddaten guzrin par ab tak wo thikana yaad hai
shauq mein mehndi ke wo be-dast-o-pa hona tera
aur mera wo chhedna wo gudgudana yaad hai
bawajud-e-iddia-e-ittiqa 'hasrat' mujhe
aaj tak ahd-e-hawas ka wo fasana yaad hai

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close