tumhein jab kabhi milen fursaten mere dil se bojh utar do

tumhein jab kabhi milen fursaten mere dil se bojh utar do
main bahut dinon se udas hun mujhe koi sham udhaar do
mujhe apne rup ki dhup do ki chamak saken mere khal-o-khad
mujhe apne rang mein rang do mere sare rang utar do
kisi aur ko mere haal se na gharaz hai koi na wasta
main bikhar gaya hun samet lo main bigad gaya hun sanwar do

nagri nagri phira musafir ghar ka rasta bhul gaya

nagri nagri phira musafir ghar ka rasta bhul gaya
kya hai tera kya hai mera apna paraya bhul gaya
kya bhula kaise bhula kyun puchhte ho bas yun samjho
karan dosh nahin hai koi bhula bhaala bhul gaya
kaise din the kaisi raaten kaisi baaten ghaten thin
man baalak hai pahle pyar ka sundar sapna bhul gaya
andhiyare se ek kiran ne jhank ke dekha sharmai
dhundli chhab to yaad rahi kaisa tha chehra bhul gaya
yaad ke pher mein aa kar dil par aisi kari chot lagi
dukh mein sukh hai sukh mein dukh hai bhed ye nyara bhul gaya
ek nazar ki ek hi pal ki baat hai dori sanson ki
ek nazar ka nur mita jab ek pal bita bhul gaya
sujh-bujh ki baat nahin hai man-mauji hai mastana
lahr lahr se ja sar patka sagar gahra bhul gaya

ku-ba-ku phail gai baat shanasai ki

ku-ba-ku phail gai baat shanasai ki
us ne khushbu ki tarah meri pazirai ki
the news of our affinity has spread to every door
he welcomed me like fragrance which he did adore
kaise kah dun ki mujhe chhod diya hai us ne
baat to sach hai magar baat hai ruswai ki
how can i say that i have been deserted by my beau
its true but this will cause me to be shamed for evermore
wo kahin bhi gaya lauta to mere pas aaya
bas yahi baat hai achchhi mere harjai ki
each time he deserted me, came back to me once more
i like this very aspect of my faithless paramour
tera pahlu tere dil ki tarah aabaad rahe
tujh pe guzre na qayamat shab-e-tanhai ki
just as your heart is full of love, be dear ones by your side
may pain of long and lonely nights be never in your store
us ne jalti hui peshani pe jab hath rakha
ruh tak aa gai tasir masihai ki
when he gently placed his hand upon my burning brow
it was as though the saviour's touch had infused my core
ab bhi barsat ki raaton mein badan tutta hai
jag uthti hain ajab khwahishen angdai ki
till even now in rainy climes, my limbs are aching, sore
the yen to stretch out languidly then comes to the fore

kahin chand rahon mein kho gaya kahin chandni bhi bhaTak gai

kahin chand rahon mein kho gaya kahin chandni bhi bhatak gai
main charagh wo bhi bujha hua meri raat kaise chamak gai
meri dastan ka uruj tha teri narm palkon ki chhanw mein
mere sath tha tujhe jagna teri aankh kaise jhapak gai
bhala hum mile bhi to kya mile wahi duriyan wahi fasle
na kabhi hamare qadam badhe na kabhi tumhaari jhijak gai
tere hath se mere hont tak wahi intizar ki pyas hai
mere nam ki jo sharab thi kahin raste mein chhalak gai
tujhe bhul jaane ki koshishen kabhi kaamyab na ho sakin
teri yaad shakh-e-gulab hai jo hawa chali to lachak gai

jhuki jhuki si nazar be-qarar hai ki nahin

jhuki jhuki si nazar be-qarar hai ki nahin
daba daba sa sahi dil mein pyar hai ki nahin
tu apne dil ki jawan dhadkanon ko gin ke bata
meri tarah tera dil be-qarar hai ki nahin
wo pal ki jis mein mohabbat jawan hoti hai
us ek pal ka tujhe intizar hai ki nahin
teri umid pe thukra raha hun duniya ko
tujhe bhi apne pe ye e'tibar hai ki nahin

ittifaq apni jagah KHush-qismati apni jagah

ittifaq apni jagah khush-qismati apni jagah
khud banata hai jahan mein aadmi apni jagah
kah to sakta hun magar majbur kar sakta nahin
ikhtiyar apni jagah hai bebasi apni jagah
kuchh na kuchh sachchai hoti hai nihan har baat mein
kahne wale thik kahte hain sabhi apni jagah
sirf us ke hont kaghaz par bana deta hun main
khud bana leti hai honton par hansi apni jagah
dost kahta hun tumhein shaer nahin kahta 'shuur'
dosti apni jagah hai shaeri apni jagah

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close