taj-mahal

sang-e-marmar ki khunuk banhon mein
husn-e-khwabida ke aage meri aankhen shal hain
gung sadiyon ke tanazur mein koi bolta hai
waqt jazbe ke taraazu pe zar-o-sim-o-jawahir ki tadap taulta hai!
har nae chand pe patthar wahi sach kahte hain
usi lamhe se damak uthte mein un ke chehre
jis ki lau umr gae ek dil-e-shab-zad ko mahtab bana aai thi!
usi mahtab ki ek narm kiran
sancha-e-sang mein dhal pai to
ishq rang-e-abadiyyat se sar-afraaz hua
kya ajab nind hai
jis ko chhu kar
jo bhi aata hai khuli aankh liye aata hai
so chuke khwab-e-abad dekhne wale kab ke
aur zamana hai ki us khwab ki tabir liye jag raha hai ab tak!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close