allah main ye taj mahal dekh raha hun ya pahlu-e-jamuna mein kanwal dekh raha hun ye sham ki zulfon mein simatte hue anwar firdaus-e-nazar taj-mahal ke dar-o-diwar aflak se ya kahkashan tut padi hai ya koi hasina hai ki be-parda khadi hai is khak se phuti hai zulekha ki jawani ya chah se nikla hai koi yusuf-e-sani gul-dasta-e-rangin kaf-e-sahil pe dhara hai billor ka saghar hai ki sahba se bhara hai aaghosh-e-tajalli mein nazar soi hui hai ya sham ke zanu pe sahar soi hui hai ya bar-lab-e-jamuna koi doshiza naha kar baithi hai takalluf se adaon ko chura kar thahri hui ya husn ke markaz pe nazar hai ya waqt ke hathon mein gareban-e-sahar hai ya koi bat-e-mast hai jo tair chuki hai aa kar abhi dariya ke kinare pe ruki hai ya nur ka tika koi sahil ki jabin par ya aalam-e-baala utar aaya hai zamin par ya husn ke iqbaal ka chamka hai sitara nikhri hui chandi hai ki thahra hua para hauzon ke khazane hain ki bikhre se pade hain pahre pe nigahban hain ya sarw khade hain ya taj qarine se abhi rakh ke zamin par soya hai koi baadshah-e-waqt yahin par taswir liye leta hai har hauz ka pani goya ki jawani ke muqabil hai jawani qudrat ne use auj diya khak pe la ke ye sada sa moti tha khazane mein khuda ke hai takht to maujud sulaiman ki kami hai jannat ka daricha to hai rizwan ki kami hai ye gul-kada kahiye jise firdaus ka khaka hai dafn yahin khak mein sarmaya wafa ka goshe mein isi qasr ke do dil hain ham-aghosh shoale hain magar maslahat-e-waqt se khamosh is khwab mein un ko nahin khud apni khabar tak ek nur uda jata hai parwaz-e-nazar tak nazron mein abhi tak wahi dilchasp saman hai aankhon mein meri khwab-gah-e-shahjaan hai