ek shahanshah ne banwa keShayari By 19 Nov 2020 08:01:25 PMNazmek shahanshah ne banwa ke hasin taj-mahal sari duniya ko mohabbat ki nishani di hai is ke sae mein sada pyar ke charche honge khatm jo ho na sakegi wo kahani di hai [...] Continue Reading... Share on:
ek shahanshah ne banwa ke hasin taj-mahalShayari By 26 Jan 2021 12:30:00 PMSherek shahanshah ne banwa ke hasin taj-mahal sari duniya ko mohabbat ki nishani di hai Continue Reading... Share on:
ek shahanshah ne daulat ka sahaara le karShayari By 26 Jan 2021 12:30:00 PMSherek shahanshah ne daulat ka sahaara le kar hum gharibon ki mohabbat ka udaya hai mazaq Continue Reading... Share on:
tum se milti-julti main aawaz kahan se laungaShayari By 26 Jan 2021 12:30:00 PMShertum se milti-julti main aawaz kahan se launga taj-mahal ban jae agar mumtaz kahan se launga Continue Reading... Share on:
kitne hathon ne tarashe ye hasin taj-mahalShayari By 18 Nov 2020 03:34:11 PMSherkitne hathon ne tarashe ye hasin taj-mahal jhankte hain dar-o-diwar se kya kya chehre Continue Reading... Share on:
taj-mahalAdmin01 Jan 2017 12:30:00 PMNazmsang-e-marmar ki khunuk banhon mein husn-e-khwabida ke aage meri aankhen shal hain gung sadiyon ke tanazur mein koi bolta hai waqt jazbe ke taraazu pe zar-o-sim-o-jawahir ki tadap taulta hai! har nae chand pe patthar wahi sach kahte hain usi lamhe se damak uthte mein un ke chehre jis ki lau umr gae ek dil-e-shab-zad ko mahtab bana aai thi! usi mahtab ki ek narm kiran sancha-e-sang mein dhal pai to ishq rang-e-abadiyyat se sar-afraaz hua kya ajab nind hai jis ko chhu kar jo bhi aata hai khuli aankh liye aata hai so chuke khwab-e-abad dekhne wale kab ke aur zamana hai ki us khwab ki tabir liye jag raha hai ab tak! Continue Reading... Share on: