khun apna ho ya paraya ho nasl-e-adam ka khun hai aakhir jang mashriq mein ho ki maghrib mein amn-e-alam ka khun hai aakhir bam gharon par giren ki sarhad par ruh ta-umr zakhm khati hai khet apne jalen ki auron ke zist faqon se tilmilati hai tank aage badhen ki pichhe haten kokh dharti ki banjh hoti hai fath ka jashn ho ki haar ka sog zindagi mayyaton pe roti hai jang to khud hi ek masala hai jang kya masalon ka hal degi aag aur khun aaj bakhshegi bhuk aur ehtiyaj kal degi is liye ai sharif insano jang talti rahe to behtar hai aap aur hum sabhi ke aangan mein shama jalti rahe to behtar hai 2 bartari ke subut ki khatir khun bahana hi kya zaruri hai ghar ki tarikiyan mitane ko ghar jalana hi kya zaruri hai jang ke aur bhi to maidan hain sirf maidan-e-kisht-o-khun hi nahin hasil-e-zindagi khirad bhi hai hasil-e-zindagi junun hi nahin aao is tira-bakht duniya mein fikr ki raushni ko aam karen amn ko jin se taqwiyat pahunche aisi jangon ka ehtimam karen jang wahshat se barbariyyat se amn tahzib o irtiqa ke liye jang marg-afrin siyasat se amn insan ki baqa ke liye jang iflas aur ghulami se amn behtar nizam ki khatir jang bhatki hui qayaadat se amn be-bas awam ki khatir jang sarmae ke tasallut se amn jamhur ki khushi ke liye jang jangon ke falsafe ke khilaf amn pur-amn zindagi ke liye