wo kamra yaad aata hai

main jab bhi
zindagi ki chilchilati dhup mein tap kar
main jab bhi
dusron ke aur apne jhut se thak kar
main sab se lad ke khud se haar ke
jab bhi us ek kamre mein jata tha
wo halke aur gahre katthai rangon ka ek kamra
wo behad mehrban kamra
jo apni narm mutthi mein mujhe aise chhupa leta tha
jaise koi man
bachche ko aanchal mein chhupa le
pyar se dante
ye kya aadat hai
jalti dopahar mein mare mare ghumte ho tum
wo kamra yaad aata hai
dabiz aur khasa bhaari
kuchh zara mushkil se khulne wala wo shisham ka darwaza
ki jaise koi akkhad bap
apne khurdure sine mein
shafqat ke samundar ko chhupae ho
wo kursi
aur us ke sath wo judwan bahan us ki
wo donon
dost thin meri
wo ek gustakh munh-phat aaina
jo dil ka achchha tha
wo be-hangam si almari
jo kone mein khadi
ek budhi anna ki tarah
aaine ko tambih karti thi
wo ek gul-dan
nanha sa
bahut shaitan
un dinon pe hansta tha
daricha
ya zehanat se bhari ek muskurahat
aur dariche par jhuki wo bel
koi sabz sargoshi
kitaben
taq mein aur shelf par
sanjida ustani bani baithin
magar sab muntazir is baat ki
main un se kuchh puchhun
sirhane
nind ka sathi
thakan ka chaara-gar
wo narm-dil takiya
main jis ki god mein sar rakh ke
chhat ko dekhta tha
chhat ki kadiyon mein
na jaane kitne afsanon ki kadiyan thin
wo chhoti mez par
aur samne diwar par
aawezan taswiren
mujhe apnaiyat se aur yaqin se dekhti thin
muskuraati thin
unhen shak bhi nahin tha
ek din
main un ko aise chhod jaunga
main ek din yun bhi jaunga
ki phir wapas na aaunga
main ab jis ghar mein rahta hun
bahut hi khub-surat hai
magar aksar yahan khamosh baitha yaad karta hun
wo kamra baat karta tha

ek laDka

ek chhota sa ladka tha main jin dinon
ek mele mein pahuncha humakta hua
ji machalta tha ek ek shai par
jaib khali thi kuchh mol le na saka
laut aaya liye hasraten sainkadon
ek chhota sa ladka tha main jin dinon
khair mahrumiyon ke wo din to gae
aaj mela laga hai usi shan se
aaj chahun to ek ek dukan mol lun
aaj chahun to sara jahan mol lun
na-rasai ka ab ji mein dhadka kahan
par wo chhota sa alhad sa ladka kahan

aadmi-nama

duniya mein padshah hai so hai wo bhi aadmi
aur muflis-o-gada hai so hai wo bhi aadmi
zardar-e-be-nawa hai so hai wo bhi aadmi
nemat jo kha raha hai so hai wo bhi aadmi
tukde chaba raha hai so hai wo bhi aadmi
abdal, qutub o ghaus wali-admi hue
munkir bhi aadmi hue aur kufr ke bhare
kya kya karishme kashf-o-karamat ke liye
hatta ki apne zohd-o-riyazat ke zor se
khaliq se ja mila hai so hai wo bhi aadmi
firaun ne kiya tha jo dawa khudai ka
shaddad bhi bahisht bana kar hua khuda
namrud bhi khuda hi kahata tha barmala
ye baat hai samajhne ki aage kahun main kya
yan tak jo ho chuka hai so hai wo bhi aadmi
kul aadmi ka husn o qubah mein hai yan zuhur
shaitan bhi aadmi hai jo karta hai makr-o-zor
aur hadi rahnuma hai so hai wo bhi aadmi
masjid bhi aadmi ne banai hai yan miyan
bante hain aadmi hi imam aur khutba-khwan
padhte hain aadmi hi quran aur namaziyan
aur aadmi hi un ki churaate hain jutiyan
jo un ko tadta hai so hai wo bhi aadmi
yan aadmi pe jaan ko ware hai aadmi
aur aadmi pe tegh ko mare hai aadmi
pagdi bhi aadmi ki utare hai aadmi
chilla ke aadmi ko pukare hai aadmi
aur sun ke daudta hai so hai wo bhi aadmi
chalta hai aadmi hi musafir ho le ke mal
aur aadmi hi mare hai phansi gale mein dal
yan aadmi hi said hai aur aadmi hi jal
sachcha bhi aadmi hi nikalta hai mere lal
aur jhut ka bhara hai so hai wo bhi aadmi
yan aadmi hi shadi hai aur aadmi biyah
qazi wakil aadmi aur aadmi gawah
tashe bajate aadmi chalte hain khwah-makhwah
daude hain aadmi hi to mashal jala ke rah
aur byahane chadha hai so hai wo bhi aadmi
yan aadmi naqib ho bole hai bar bar
aur aadmi hi payaade hain aur aadmi sawar
huqqa surahi jutiyan dauden baghal mein mar
kandhe pe rakh ke palki hain daudte kahaar
aur us mein jo pada hai so hai wo bhi aadmi
baithe hain aadmi hi dukanen laga laga
aur aadmi hi phirte hain rakh sar pe khuncha
kahta hai koi lo koi kahta hai la re la
kis kis tarah ki bechen hain chizen bana bana
aur mol le raha hai so hai wo aadmi
table majire daere sarangiyan baja
gate hain aadmi hi har ek tarah ja-ba-ja
randi bhi aadmi hi nachate hain gat laga
aur aadmi hi nache hain aur dekh phir maza
jo nach dekhta hai so hai wo bhi aadmi
yan aadmi hi lal-o-jawahar mein be-baha
aur aadmi hi khak se bad-tar hai ho gaya
kala bhi aadmi hai ki ulta hai jun tawa
gora bhi aadmi hai ki tukda hai chand-sa
bad-shakl bad-numa hai so hai wo bhi aadmi
ek aadmi hain jin ke ye kuchh zarq-barq hain
rupe ke jin ke panw hain sone ke farq hain
jhamke tamam gharb se le ta-ba-sharq hain
kam-khwab tash shaal do-shaalon mein gharq hain
aur chithadon laga hai so hai wo bhi aadmi
hairan hun yaro dekho to kya ye swang hai
aur aadmi hi chor hai aur aapi thang hai
hai chhina jhapti aur bang tang hai
dekha to aadmi hi yahan misl-e-rang hai
faulad se gadha hai so hai wo bhi aadmi
marne mein aadmi hi kafan karte hain tayar
nahla-dhula uthate hain kandhe pe kar sawar
kalma bhi padhte jate hain rote hain zar-zar
sab aadmi hi karte hain murde ke karobar
aur wo jo mar gaya hai so hai wo bhi aadmi
ashraf aur kamine se le shah-ta-wazir
ye aadmi hi karte hain sab kar-e-dil-pazir
yan aadmi murid hai aur aadmi hi pir
achchha bhi aadmi hi kahata hai ai 'nazir'
aur sab mein jo bura hai so hai wo bhi aadmi

taj-mahal

taj tere liye ek mazhar-e-ulfat hi sahi
tujh ko is wadi-e-rangin se aqidat hi sahi
meri mahbub kahin aur mila kar mujh se
bazm-e-shahi mein gharibon ka guzar kya mani
sabt jis rah mein hon satwat-e-shahi ke nishan
us pe ulfat bhari ruhon ka safar kya mani
meri mahbub pas-e-parda-e-tashhir-e-wafa
tu ne satwat ke nishanon ko to dekha hota
murda-shahon ke maqabir se bahalne wali
apne tarik makanon ko to dekha hota
an-ginat logon ne duniya mein mohabbat ki hai
kaun kahta hai ki sadiq na the jazbe un ke
lekin un ke liye tashhir ka saman nahin
kyunki wo log bhi apni hi tarah muflis the
ye imaraat o maqabir ye fasilen ye hisar
mutlaq-ul-hukm shahanshahon ki azmat ke sutun
sina-e-dahr ke nasur hain kohna nasur
jazb hai un mein tere aur mere ajdad ka khun
meri mahbub unhen bhi to mohabbat hogi
jin ki sannai ne bakhshi hai use shakl-e-jamil
un ke pyaron ke maqabir rahe benam-o-numud
aaj tak un pe jalai na kisi ne qindil
ye chaman-zar ye jamuna ka kinara ye mahal
ye munaqqash dar o diwar ye mehrab ye taq
ek shahanshah ne daulat ka sahaara le kar
hum gharibon ki mohabbat ka udaya hai mazaq
meri mahbub kahin aur mila kar mujh se

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close