main jab bhi zindagi ki chilchilati dhup mein tap kar main jab bhi dusron ke aur apne jhut se thak kar main sab se lad ke khud se haar ke jab bhi us ek kamre mein jata tha wo halke aur gahre katthai rangon ka ek kamra wo behad mehrban kamra jo apni narm mutthi mein mujhe aise chhupa leta tha jaise koi man bachche ko aanchal mein chhupa le pyar se dante ye kya aadat hai jalti dopahar mein mare mare ghumte ho tum wo kamra yaad aata hai dabiz aur khasa bhaari kuchh zara mushkil se khulne wala wo shisham ka darwaza ki jaise koi akkhad bap apne khurdure sine mein shafqat ke samundar ko chhupae ho wo kursi aur us ke sath wo judwan bahan us ki wo donon dost thin meri wo ek gustakh munh-phat aaina jo dil ka achchha tha wo be-hangam si almari jo kone mein khadi ek budhi anna ki tarah aaine ko tambih karti thi wo ek gul-dan nanha sa bahut shaitan un dinon pe hansta tha daricha ya zehanat se bhari ek muskurahat aur dariche par jhuki wo bel koi sabz sargoshi kitaben taq mein aur shelf par sanjida ustani bani baithin magar sab muntazir is baat ki main un se kuchh puchhun sirhane nind ka sathi thakan ka chaara-gar wo narm-dil takiya main jis ki god mein sar rakh ke chhat ko dekhta tha chhat ki kadiyon mein na jaane kitne afsanon ki kadiyan thin wo chhoti mez par aur samne diwar par aawezan taswiren mujhe apnaiyat se aur yaqin se dekhti thin muskuraati thin unhen shak bhi nahin tha ek din main un ko aise chhod jaunga main ek din yun bhi jaunga ki phir wapas na aaunga main ab jis ghar mein rahta hun bahut hi khub-surat hai magar aksar yahan khamosh baitha yaad karta hun wo kamra baat karta tha
Please share if you liked this!!!