tum se pahle wo jo ek shaKHs yahan taKHt-nashin tha

tum se pahle wo jo ek shakhs yahan takht-nashin tha
us ko bhi apne khuda hone pe itna hi yaqin tha
koi thahra ho jo logon ke muqabil to batao
wo kahan hain ki jinhen naz bahut apne tain tha
aaj soe hain tah-e-khak na jaane yahan kitne
koi shola koi shabnam koi mahtab-jabin tha
ab wo phirte hain isi shahr mein tanha liye dil ko
ek zamane mein mizaj un ka sar-e-arsh-e-barin tha
chhodna ghar ka hamein yaad hai 'jalib' nahin bhule
tha watan zehn mein apne koi zindan to nahin tha

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close