aaina-KHana karenge dil-e-nakaam ko hum

aaina-khana karenge dil-e-nakaam ko hum
pherenge apni taraf ru-e-dil-aram ko hum

sham se subh talak daur-e-sharab aakhir hai
rote hain dekh ke khandan dahan-e-jam ko hum

yaad rakhne ki jagah hai ye tilism-e-hairat
subh ko dekhte hi bhul gae sham ko hum

aankh wo fitna-e-dauran kise dikhlata hai
shoabada jaante hain gardish-e-ayyam ko hum

fitna-angezi bhi chhupti hai kahin parde mein
sunte hain gabr o musalman se tere nam ko hum

khun-e-qasid to wo saffak samajhta hai halal
kisi ghammaz se bhejwaenge paigham ko hum

panw pakde hain zamin ne ye tere kucha ki
rah-e-sad-sala samajhte hain ab ek gam ko hum

dida-e-yar kahen kya use kaif-e-mai mein
bhun kar roz gazak karte hain baadam ko hum

beza-e-khat se hui us ki kudurat dah-chand
ab safai ke liye dhundenge hajjam ko hum

yahi tahsil-e-mohabbat ka hai aalam ta-haal
pukhta karte hain hanuz aarzu-e-kham ko hum

lutf hasil ho jo zulfon mein giraftari ka
mol len dil ki asiri ke liye dam ko hum

kucha-e-yar mein apna jo guzar hota hai
nigaran rahte hain hasrat se dar-o-baam ko hum

husn se ishq ki khatir hai khuda ne bheja
karte hain 'atish' use aae hain jis kaam ko hum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close