aakhir-e-kar chale tir ki raftar qadam ghair manzil na pade rah mein zinhaar qadam uth gae wasl ki shab peshtar-az-yar qadam aage hum umr-e-rawan se bhi chale chaar qadam ku-e-maqsud se yun rakhti hai ghaflat mujhe dur jaise so jaane se ho jate hain be-kar qadam ahl-e-alam mein hun main zindon mein murdon ki tarah badh chalen lakh magar sath hain do chaar qadam ek muddat se rah-e-kaba mein aawara hain kya khuda ka mujhe dikhlaenge didar qadam josh-e-wahshat mein bhi main chadh ke na us par dauda le gae hasrat-e-khar-e-sar-e-diwar qadam surat-e-barg-e-khizan jhadte hain har gam gunah jab uthate hain teri rah mein zawwar qadam ai junun koh-o-bayaban bhi dikhla mujh ko rahen pasti o bulandi se khabar-dar qadam kucha-gardi ye shab-o-roz ki be-wajh nahin ediyan ragdenge kis ke pas-e-diwar qadam jada-e-rah-e-mohabbat ko khat-e-mustar jaan sar ke bal misl-e-qadam chal jo hon be-kar qadam khak bhi hun to hun khak-e-dar us ka 'atish' jis ke the dosh-e-payambar ke saza-war qadam