aankhon se khwab dil se tamanna tamam-shud tum kya gae ki shauq-e-nazara tamam-shud kal tere tishnagan se ye kya moajaza hua dariya pe hont rakkhe to dariya tamam-shud duniya to ek barf ki sil se siwa na thi pahunchi dukhon ki aanch to duniya tamam-shud shahr-e-dil-e-tabah mein pahunchun to kuchh khule kya bach gaya hai rakh mein aur kya tamam-shud ushshaq par ye ab ke ajab waqt aa pada majnun ke dil se hasrat-e-laila tamam-shud hum shahr-e-jaan mein aakhiri naghma suna chale samjho ki ab hamara tamasha tamam-shud ek yaad-e-yar hi to pas-andaz hai 'hasan' warna wo kar-e-ishq to kab ka tamam-shud
Please share if you liked this!!!