aankhon se kisi khwab ko bahar nahin dekha phir ishq ne aisa koi manzar nahin dekha ye shahr-e-sadaqat hai qadam soch ke rakhna shane pe kisi ke bhi yahan sar nahin dekha hum umr basar karte rahe 'mir' ki manind khidki ko kabhi khol ke bahar nahin dekha wo ishq ko kis tarah samajh paega jis ne sahra se gale milte samundar nahin dekha hum apni ghazal ko hi sajate rahe 'rahat' aaina kabhi hum ne sanwar kar nahin dekha