ab ke hisar-e-zat se bahar nikal ke dekh

ab ke hisar-e-zat se bahar nikal ke dekh
shahr-e-gulab mein kabhi kanton pe chal ke dekh

jo bhi hai jaisa us ko usi tarz se parakh
us ko badal ke dekh na khud ko badal ke dekh

auron ki aag kya tujhe kundan banaegi
apni bhi aag mein kabhi chup-chap jal ke dekh

jo tere raste mein hain patthar pade hue
gir ke tu un pe dekh liya ab sambhal ke dekh

chehra hamesha kyon pas-e-ghaza chhupa rahe
is pe tu apne khun ka bhi rang mal ke dekh


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close