zakhm ke rang hain kya meri rida jaanti hai kis ne ki kis se wafa khud ye wafa jaanti hai ab qafas aur gulistan mein koi farq nahin hum ko khushbu ki talab hai ye saba jaanti hai khud-parasti ke mahallat mein rahne walo zalzala aane ko hai larzish-e-pa jaanti hai main nahin jaanta daryuza-gari ko lekin mere lab par hai dua kya ye dua jaanti hai kashti-e-umr meri dol rahi hai 'abid' sahil-e-zist ki aaluda hawa jaanti hai