adib tha na main koi baDa sahafi tha

adib tha na main koi bada sahafi tha
zamana phir bhi mere fan ka e'tirafi tha

mujhe bhi zahr diya kyun na haq-bayani par
ki ye gunah to na-qabil-e-muafi tha

kisi se ek bhi fitrat ka raaz khul na saka
agarche daur zamane ka inkishafi tha

musibaton ne to nahaq uthain taklifen
mujhe mitane ko mera shabab kafi tha

dil-o-nazar na ulajhte to hal nikal aata
hazar masala-e-did ikhtilafi tha

wo meri rae se to muttafiq tha ai 'fazil'
zarif-kar magar us ka inhirafi tha