gahri suni rah aur tanha sa main raat apni chap se darta sa main tu ki mera aaina hota hua aur tere aks mein dhalta sa main kab tere kuche se kar jaana hai kuch is tasawwur se hi ghabraata sa main meri rahon ke liye manzil tu hi tere qadmon ke liye rasta sa main aasman mein rang bikhraata sa tu aur sarapa did ban jata sa main hasrat-e-tabir se chhutun kabhi har nafas is khwab mein jalta sa main be-karan hota hua dasht-e-guman aur yaqin ke dar par aaya sa main na koi manzar na ab koi khayal ab har ek shai bhulta jata sa main