agar itna na tu ayyar hota

agar itna na tu ayyar hota
to dushman ka na hargiz yar hota

dui ka naqsh mitta dil se ai kash
mai-e-wahdat se main sarshaar hota

jo hote aaj-kal qais aur farhad
main un ka qafila-salar hota

na hota gar tera talib jahan mein
to main paband-e-nang-o-ar hota

lagae chat par hain us ko dushman
ilahi main bhi kuchh zardar hota

agar hota mujhe pas aabru ka
na tera aashiq-e-didar hota

tadapta hai qafas mein tair-e-dil
nikal jata agar par-dar hota

tamanna dil ki 'saqi' jab nikalti
agar munh se na kuchh izhaar hota


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close