dil-e-wahshi tujhe ek bar phir zanjir karna hai ki ab is se mulaqaton mein kuchh takhir karna hai mere pichhle bahane us pe raushan hote jate hain so ab mujh ko naya hila nai tadbir karna hai kaman-daron ko is se kya gharaz pahunche ki rah jae unhen to bas ishaare par rawana tir karna hai abhi imkan ke safhe bahut khali hain duniya mein mujhe bhi ek nauha ja-ba-ja tahrir karna hai