ahd hazir mein ayar-e-subh to badla magar

ahd hazir mein ayar-e-subh to badla magar
ai andheri raat tujh ko bhi badalna chahiye

bawajud-e-gham musalsal qahqahe ai na-murad
karwan-e-zindagi ke sath chalna chahiye

shan-e-rindana ki hai tauhin az-khud-raftagi
sahl hai pina magar pi kar sambhalna chahiye

zindagi wo kya jo hai na-waqif-e-ashob-e-ishq
sina-e-adam mein tufanon ko palna chahiye

iqtiza-e-asr-e-nau hai zindagi to darkinar
maut ko bhi husn ke sanche mein dhalna chahiye

ai junun kuchh der shaghl-e-khak-bazi hi sahi
dil to is sahra-e-hasti mein bahalna chahiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close