bahaar ban ke jab se wo mere jahan pe chhae hain tajalliyon ki chandni hai maktabon ke sae hain thahar thahar ke khush-gawar inqalab aae hain sambhal sambhal ke wo mere junun pe muskurae hain hazar ehtiyat ki hai lakh gham chhupae hain magar tadap utha hai dil wo jab bhi yaad aae hain samajh samajh ke barha ye ban pare ki baat hai fareb in ki mehrbaniyon ke hum ne khae hain sahar sahar mahak uthi chaman chaman sanwar gaya bahaar muskurai hai ki aap muskurae hain jo dil saja chuke the khud-parastiyon ki anjuman hum un mein jazba-e-gham-e-jahan ubhaar aae hain naqab rukh se jab uthi bikhar gain tajalliyan latif bijliyan giri hain jab wo muskurae hain dayar-e-tegh-o-dar ke jamal ko nikhaar ke hum apne khun se maqtal-e-wafa sanwar aae hain kabhi libas-e-nazm mein kabhi ghazal ke rup mein jo waqt ki pukar the wo git hum ne gae hain 'nihaal' kaenat mein hamein to ye yaqin hai ab aadmi nahin raha hai aadmi ke sae hain