apne andar se jo bahar nikle

apne andar se jo bahar nikle
khud-numai ka samundar nikle

ab sazaen hi muqaddar thahrin
taziyanon ke sana-gar nikle

aise bhi log hain is shahr mein jo
dhup mein barf pahan kar nikle

fakhtaon ka tamaskhur tauba
chiyuntiyon ke bhi ajab par nikle

hath jab qabza-e-shamshir pe ho
kyun na maqtal mein dilawar nikle

khinch do dar pe dil-daron ko
shahryaron ka zara dar nikle

jis bhi diwar mein dar karta hun
wahi diwar pas-e-dar nikle

kashtiyan chhod ke dariyaon mein
regzaron se shanawar nikle

aandhiyon mein bhi khade hain ab tak
hum darakhton se qad-awar nikle

bhik us shahr mein hum kya mangen
jis ke hatim bhi gadagar nikle

panw mein bandh ke ghunghru 'mohsin'!
chand qabron ke mujawir nikle


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close