apni manzil ki jo hasrat karna ghar se chalne ki bhi himmat karna koi tujh ko jo amanat saunpe jaan de kar bhi hifazat karna kahna aasan hai karna mushkil dushmanon se bhi mohabbat karna aaj bachpan mein hai wo baat kahan waqt be-waqt shararat karna tere bhitar ka khuda jag uthe itni shiddat se ibaadat karna jab use dost kaha hai tum ne us ke dukh dard mein shirkat karna farz aulad ka hota hai 'dinesh' apne man bap ki khidmat karna