aziyyaton ka naya silsila to hona tha

aziyyaton ka naya silsila to hona tha
kuchh is liye bhi tujhe ab juda to hona tha

ki pahli bar safar aur wo bhi tanha safar
ki pash pash mera hausla to hona tha

jab ek umr hui tirgi nigalte hue
mera charagh se ab samna to hona tha

idhar udhar ke sahaaron ne be-sahaara kiya
koi na hota jo mera khuda to hona tha

tu mere sath agar aise hath na karta
main khud ka ho na saka par tera to hona tha

ajib shakhs hai ujlat mein kat baitha hai
wagarna ped tha aakhir hara to hona tha

hamare beach mohabbat shadid thi 'irshad'
hamare beach bahut fasla to hona tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close