ajib shor hai sara jahan bolta hai mere yaqin ke aage guman bolta hai use kaho ki wo hissa bane kahani ka ye jo koi bhi pas-e-dastan bolta hai samaaton pe fusun tari hone lagta hai wo aisi shan se urdu zaban bolta hai usi ko haq hai teri anjuman mein bolne ka tere huzur jo shayan-e-shan bolta hai use saliqa nahin hai badon mein baithne ka jo meri guftugu ke darmiyan bolta hai na jaanun main ye tamasha hai kitni der abhi bhanwar ke aage mera baadban bolta hai main be-tarah ke kai git gungunata hun safar mein jaise koi sarban bolta hai