bahut bar-e-garan ye zindagi malum hoti hai

bahut bar-e-garan ye zindagi malum hoti hai
ki gham ka pesh-khema har khushi malum hoti hai

kisi se sarguzisht-e-gham bayan karta hun jab apni
kahani wo sarasar aap ki malum hoti hai

hai mahrumi si mahrumi to majburi si majburi
ki har saat musibat mein ghiri malum hoti hai

chala hun jis pe ek muddat raha hun aashna jis se
wo manzil, rahguzar ab ajnabi malum hoti hai

kahan jaun main ai 'khushtar' kahun rudad bhi kis se
ki jis ko dekhiye jaan par bani malum hoti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close