bichhad ke gham mein tere kitna tanha ho gaya hun main gali ka jun koi viran kona ho gaya hun main kai aate hain andar jhank jate hain mere dil mein bina chhat ka koi jarjar sa kamra ho gaya hun main shajar par atka dekha tera lahraata dupatta jo khilauna dekh ji lalchata bachcha ho gaya hun main yahin hai tu bharam mein is yun takta rahta hun har su lagata ghote sagar mein safina ho gaya hun main ji bahla lete hain sab zikr tera kar mere aage thakawat mein sukun deta bichhauna ho gaya hun main teri yaadon mein mera zehn aise atka rahta hai tere har taur ka jaise thikana ho gaya hun main