bisat-e-danish-o-harf-o-hunar kahan kholen

bisat-e-danish-o-harf-o-hunar kahan kholen
ye sochte hain lab-e-mo'tabar kahan kholen

ajab hisar hain sab apne gird khinche hue
wajud ki wahi diwar dar kahan kholin

padaw dalen kahan raste mein sham hui
bhanwar hain samne rakht-e-safar kahan kholen

yahan shuur ke nakhun to hum bhi rakhte hain
magar ye uqda-e-fikr-o-nazar kahan kholen

na is ke sath hamara bhi mol hone lage
hain kashmakash mein ki musht-e-guhar kahan kholen

hawa hai tez na is ke waraq uda le jae
sahifa-e-nafas-e-mukhtasar kahan kholen

bachaen aabru jismon ki bhid mein kaise
hai kholni girah-e-jaan magar kahan kholen

koi 'faza' to mile hum ko qabil-e-parwaz
ab in hadon mein bhala baal-o-par kahan kholen


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close