de khuda wusat to sab ke kaam aana chahiye dil mein dushman ke bhi ghar apna banana chahiye aap ke dil mein jagah mere liye kya sach hai ye allah allah is se behtar kya thikana hai gar kabhi nafrat ki koi lahr uthe qalb se jis tarah ho us ko to qabu mein lana chahiye bantte hi chahiye rahna mohabbat ke gulab dil ke gulshan ko kaha kis ne sajaana chahiye anjuman koi ho aur daman kisi ka bhi ho wo khushbuon mein sab ke daman ko basana chahiye raaz-e-dil ifsha na ho 'hassan' hai behtar yahi haal-e-dil khul kar kabhi lab par na lana chahiye