bujha bujha ke jalata hai dil ka shoala kaun dikha raha hai mujhi ko mera tamasha kaun sabhi ke chehron pe mehr-o-wafa ka ghaza hai kahun ye kaise paraya hai kaun apna khushi ki bazm mein ham-raqs hain sabhi lekin karega par mere sath gham ka dariya kaun bahaar aai hai lekin khile hain aag ke phul har ek darakht mein rakh kar gaya hai shoala kaun ye phul rang sitare faza ki ranai utha ke bhul gaya apne rukh se parda kaun yaqin tha use aana hai ek din lekin achanak aai to dil ne dhadak ke puchha kaun waraq waraq pe mohabbat ki dastan likh kar 'sarosh' soch raha hun use padhega kaun