fareb-e-rah se ghafil nahin hai junun gum-karda-e-manzil nahin hai meri nakaamiyon par hansne wale tere pahlu mein shayad dil nahin hai khuda ko na-khuda kahne laga hun safina talib-e-sahil nahin hai teri bazm-e-tarab mein aa gaya hun magar dil ko sukun hasil nahin hai are us ki nigah-e-be-khabar bhi mere anjam se ghafil nahin hai mere zauq-e-safar ka puchhna kya nigahon mein meri manzil nahin hai ba-faiz-e-ishq karb-e-marg se 'naqsh' guzar jaana koi mushkil nahin hai