buton ki agar KHud-numai na dekhun

buton ki agar khud-numai na dekhun
in aankhon se yarab khudai na dekhun

mohabbat se kahta hun si rakkhun aankhen
palak se palak ki judai na dekhun

bhala main bura jaanta hun jo tum ko
burai hai apni bhalai na dekhun

mera aks tak saf mujh se nahin hai
main hairan hun kis munh se aaina dekhun

'nasim' us chaman ke jo kanton se uljhun
main us gul ki rangin-adai na dekhun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close