Dare hue hain sabhi log abr chhane se

dare hue hain sabhi log abr chhane se
wo aai baam pe kya dhup ke bahane se

wo qissa-go to bahut jald-baz aadmi tha
bahut si lakdiyan hum rah gae jalane se

nazar to dal rawani ki istaqamat par
ye aabshaar hai kohsar ke gharane se

mosafiran-e-mohabbat mujhe muaf karen
main baz aaya unhen rasta dikhane se

agar main aakhiri bazi na khelta 'azhar'
to khali hath na aata qimar-khane se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close