ek ghazal to mere hathon se misali ho jae

ek ghazal to mere hathon se misali ho jae
kash ke tu mera mahbub-e-khayali ho jae

dekh le tu meri jaanib jo utha kar nazren
chashm-e-pur-nam jo teri hai wo ghazali ho jae

chand se rukh pe jo phirte ho laga kar goggle
eid kar le na koi kuchh ki diwali ho jae

samne us ko main rakhta hun ghazal kahta hun jab
is ghazal-goi ki naqqali pe tali ho jae

dil mein tu hai mere aayat ki si pakiza par
ye dua kar meri niyyat na jamali ho jae

khair se apna ye neta bhi hai behis warna
shakl jo us ki hai chamkili wo kali ho jae

ab bhi ho sakti hai iman ki raunaq 'azhar'
ek azan phir jo andheron mein bilali ho jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close