dil ki dhadkanon se ek dastan banana hai aap ki nigahon ko ham-zaban banana hai mah o khor ugane hain kahkashan banana hai ai zamin tujhi ko ab aasman banana hai gul-farosh tha mali ho gaya chaman khali aaj patte patte ko baghban banana hai apne surkh honton ki muskurahaten de do bijliyon ki yurish mein aashiyan banana hai bandh kar kafan sar se yun khada hun maqtal mein jaise sarfaroshon ka karwan banana hai meri zindagi mein tum apni dil-kashi bhar do waqt jaise zalim ko mehrban banana hai aaj un ki aankhon se jhankti hain talwaren dil ki aarzuon ko sakht-jaan banana hai
This is a great shayari kafan ki. True lovers of sarfarosh shayari will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore friend banana shayari. Please share if you liked this!!!