dil ki dhadkan ab rag-e-jaan ke bahut nazdik hai raat be-awaz be-andaz be-tahrik hai jam gai hain taron ki aaankhon pe baadal ki tahen dub jao zat ke andar falak tarik hai kal ke lamhe aaj ke lamhon mein mudgham ho gae dekhna aaankhon mein ab jalwa-numa tahrik hai tum mere kamre ke andar jhankne aae ho kyun so raha hun chain se hun thik hai sab thik hai maut ka lamha abhi aaya abhi jaane ko hai chum lo mitti ko apni hadiya-e-tabrik hai dosto aankhen na kholo thandi sansen mat bharo aa gae manzil pe tum 'aslam' bahut nazdik hai