din raat tumhaari yaadon se hum zaKHm sanwara karte hain

din raat tumhaari yaadon se hum zakhm sanwara karte hain
pardes mein jaise-taise hi ai dost guzara karte hain

khuddar tabiat hai apni faqon pe basar kar lete hain
ehsan kisi ka duniya mein hargiz na gawara karte hain

ab lakh khizaon ka mausam bhi kuchh na gulon ka kar pae
hum khun-e-jigar se gulshan ka har rang nikhaara karte hain

atraf hamare logon ki ek bhid thi jab tak paisa tha
ye jeb hui ab khali to sab log kinara karte hain

jab un ke muqabil hote hain wo baat nahin karte hum se
aur dur nazar se hote hi bas zikr hamara karte hain

kyun zakhm dikhaen hum 'shamsi' ab kaun lagaega marham
sab log to dil mein hans hans kar khanjar hi utara karte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close