doston se to kinara bhi nahin kar sakta un ka har zulm gawara bhi nahin kar sakta mera dushman mere apnon mein chhupa baitha hai us ki jaanib main ishaara bhi nahin kar sakta shab mein niklega nahin us pe musallat hai nizam din mein suraj ka nazara bhi nahin kar sakta aish-o-ishrat ka talabgar nahin hun phir bhi tang-dasti mein guzara bhi nahin kar sakta shauq aisa ki machalta hai mohabbat ke liye jurm aisa ki dobara bhi nahin kar sakta gham hai betab ki aankhon se nikal jae magar dil ki daulat ka khasara bhi nahin kar sakta