ek hum hain gila karne ki himmat nahin karte

ek hum hain gila karne ki himmat nahin karte
ek tum ho ki khwabon ko haqiqat nahin karte

jao to magar aks koi chhod na jaana
ab aaine akson ki hifazat nahin karte

ab chand ka arman bhi sar-e-sham nahin hai
aankhon ke jharoke bhi shikayat nahin karte

hum dhup se narmi ki umiden hi rakhe jaen
har-chand ki sae bhi murawwat nahin karte

rahraw hain har ek ped se mil lete hain 'fakhir'
saya nahin milta to shikayat nahin karte


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close